Bitcoin se Paise kaise Kamaye
Exact 4 saal pehle, yane ke 1 November 2019 ko, agar aap ne ek laakh rupiye ka Bitcoin khareeda hota, toh aaj uske sade-chaar laakh rupiye ban gaye hote.
Lekin uske bajay agar aap ne ek laakh ka sona khareeda hota, toh aaj uske ek laakh atthawan hazaar ban gaye hote, aur Nifty itiyef liya hota, toh uske, sone-se, kewal paanch hazaar rupiye jyada bane hote.
Sharam aani chahiye, siyenbisi pe bakar karne waale, pharji visheshagya abhinetaon ko, jinhone din bhar bawaal machaane ke baad, akhir kya ukhaad liya, sone se sirf paanch pratishat jyada munafa aur wo bhi chaar saal mein.
Toh dosto stock market ki khabrein dekhne mein apna keemti samay barbaad karne ke bajay, agle ek mahine mein, sirf ek ghanta, Bitcoin ke baare mein seekhne mein laga dijiye.
Akhir, jis Bitcoin-ne, stock market se paanch guna returns diye hain, uske baare mein seekhna toh banta hain boss!
Bitcoin ke baare mein aap ko koi bhi sawaal honge toh comments section mein likh bhejiye, main har ek sawaal ka jaroor jawaab dunga.
Lekin yahan par baat khatam nahi hoti, kyonki agar aap ne Bitcoin pe thodasa leverage liya hota, toh pichle chaar saal mein aap ko satra-sau teiis pratishat munafa mil jaata, kaise wo pinned comment mein padhiye.
Comments
Post a Comment